Qayamat ka din
INSAF KA DIN
Allah SWT ne insan ko banaya to aese hi nahi bheja pori tarah programming karke bheja .jaise hum koi mobile khareedte hai to usme pehle se kafi programmes
downloaded hote hai uske baad aage hum jo chahe usme load karte jate hain.isi tarah kaynaat ki har cheez ki bhi Allah Tallah ne programming ki hai jaise jo janver carnivorous hai vo grass nahi kha sakte .sheer kitna bhi bhooka ho apne banchcho ko nahi khata har kism ki chidiya( bird )ka nest banane ka tariqa alag hota hai ye sab kisne unhe sikhaya.suraj chand sab ko pata hai ki kab kisko nikalna hai .galaxies main har koi apne orbit main hai koi bhi apni limit cross nahi karta. har cheez
disciplined hai .har ak Allah ki ibadat main lage hue hain Quraan main baar baar aata hai ki kaynaat ki har cheez uski tasbeeh kar rahi hai lekin tum use samjh nahi sakte.in sab ka hisaab nahi hoga kyonki inko choice nahi di gaye yani ye apni marzi nahi kar sakte. Isliye qayamat ke din inko khtam kar diya jayega yani inke liye koi jannat dosakh nahi hai.
Ab insan isko Allah se sabse khoobsurat banaya aqal di samjh di aur balance bhi diya phir duniya main free choice dekar chodha.uske baad bhi use pori tarah apni marzi karne ki ijazat nahi hai ye aesa hi hai jaise kisi janver ke gale main lambi rassi bandhi ho aur use grazing ke liye chodh diya jaye lekin jab vo had se age badhne ki koshish kare to rassi kheench li jaye . Isliye use azadi to hai lekin had se age bhi nahi badhne diya gaya.isliye insan ke paas choice to hai lekin limited. hai isliye har insan vo sab nahi kar sakta jo uski marzi hoti hai .ak had par use rukna hi hota hai.
Ye jo Allah ne use balance diya iski programming Allah SWT ne sab ke liye ak jaisi ki yani....har insan chahe koi bhi religion follow karta ho use pata hai kya sahi hai kya galat hai.jhoot bolna dhoka dena galat hai ye sab jante hai etc.
jab insan achcha karta hai to chahta hai ki use praise kiya jaye jaise chote bachche kuch achcha kar ke chahte hain ki unhe shabashi mile aur jab galti karte hain to chupte hain pareshan hote hain unhe pata hota hai ki unko saza milegi
isi tarah jab koi aur insan ke saath zulm karta hai to vo chahta hai ki uske saath insaf ho jisne bura kiya hai usko saza mile .
Kya jisne pori zindagi achche kaam kiye aur jisne pori zindagi bure kaam dono ka anjaam sirf maut ho.
To ye to insaf nahi ....isliye Allah SWT ne qayamat ka din rakha ki achche logon ko unke kamoon ka achcha badla mile aur bure logon ko saza mile jo unhone duniya main zulm kiye hain .
Isse hamare ander ak sukoon ka ahsaas bhi paida hota hai ki koi chahe hamare saath kitna bhi bura kare is duniya main ak din hai jab Allah SWT usko uski saza denge . Is baat se uske liye zulm sehan karna sabr karna sab asaan ho jata hai.phir koi uske saath bura bhi karta hai to use bura nahi lagta vo har cheez Allah par chodhta jata hai.ye ahsas use ak khoobsurat personality bhi deta hai.phir aese insan se sab mohabbat karne lagte hain.
Lekin ak dosre tarah ka insan hota hai jo har vaqt apni marzi karna chahta hai.uska ander ki programming jab use alert karti hai to use shut down kar deta hai .vo gunah karna chahta hai kyonki shaitaan ne gunahoon main bahot lazzat rakhi hai .insan gunah karke bahot enjoy karta hai .
Qayamat ke din ka inkar bhi vo isliye karta hai kyonki vo aur gunah karna chahta hai .palat na nahi chahta . Agar jeete je aesa insan nahi sambhla to marne ke baad qayamat ke din uska regret karna use koi kaam na dega.us din aese log kahenge ae Allah hamain duniya main ak baar phir vapas bhej dijeye ab hum achche kaam karke aayenge.us vaqt Allah SWT unki taraf dekhenge bhi nahi aur na baat karenge. Us din unhe apni har sans par afsoos hoga ki humne duniya main apna vaqt barbaad kiya .kaaaaaaassssshhhh ke hum kuch kar lete.
QAYAMAT HAKIKT HAI.
Aaj
ham duniya ki nawranginiyo mai ayese khho gaye hai ki apni maut aur
akhirat ho bhul gaye hai. Inshan us-si ke bare mai kuch sochne ki jahema
gawar karta hai jo uske samne ho. Jo hakikt akho se ojhal hai unhe
bilku bhul baythe hai. Hamari ye bhul wa laparwahi hame pahut bada
nukshan pahucha sakti hai, agar sabhalne ki koshish na ki to .
Hamai jin-jin hakikato par eman lana jarori hai unmai se ek QAYAMT bhi hai. Jo is hakikat ko taslim na kare wah musalman hi nahi. Allah ke fazal se ham musalman hai, to kya hamne QAYAMT ke bare mai kabhi sochne ki koshish ki? Allah ne hamari hidayad ke liye QURAN MAZID najil faramya.
Usmai jagaha-jagaha , alag-alag QAYAMT ke bare mai bayan hai. Hamai chahiye ki ham un ayeto ko padekar andaja lagaye ki kya haal hai aur kya hoga? SURE ZILZAL MAI ALLAH NE FARMAYA-jab jamin puri takat se hila di jayegi aur jamin apne sare bojh bahar fekdegi (jami ke khazane bahar aa jayege) yah haal dekhkar inshan kahega jamin ko kya ho gaye? Us din allah pak
se jamin apni sari khabre bayan kar degi. Log apni-apni KABARO nikal
kar jama-at dar jama-at ek jagaha jama hoge.
Waha unke wah amaal dikhye
jayege jo unhone duniya mai kiye hoge. Jisne zarra barabar neki ki hogi
waha neki apne amalnaame mai likha dekh lege aur jisnezarra barabar gunah kiya hoga usse bhi likha payege.
Matlab
yah ki inshan yah na samjh baithhe ki duniya mai jo chaho kar gujaro,
koi hishab-kitab lene wala nahi. Jabki hakikat yah hai ki KIRAMA QATEBIN jab
uska amalnaama use thamayege to usmai us=se wah sab kuch likha dekhega
jo usne duniya mai kiya thha. Mamuli si mamuli baat bhi us mai darz
milege.
QAYAMT ke bare mai SURE=HAZ MAI ALLAH NE FARMAYA-QAYAMT ka
jhatka badi hawlnak cheg hai. Us din etni ghabrahat hogi ki dudh pilane
wali apne pyare dudh pite bachchhe ko bhi bhul jayegi, yaha tak ki pait
mai se bachchhe gir jayege. Log madhosh dikhai dege lekin wah kisi nashe mai nahi hoge balkiQAYAMT ki jhatke ka unke dil par aysa asar hoga ki wah sab kuch bhul jayege, unke hosh gum ho jayege. Allah ka AZAB bahut shakht hai.
SURE HAKKA: MAI ALLAH NE FARMAYA- jab pahli bar SOOR fhoka jayega to ek hi chhot mai zamin wa pahad tut-tut kar bikhar jayege aur QAYAMT aajayege .asman fat jayega, bikhar jayega. Uske kinaro par FARISHTE hoge. Us din 8 farishte allah ke ARSH ko uthye hoge. Us din tum sab allah ke samne pesh kiye jaoge. Tumhar koi raaz chhupa na rahega.
Durisri
bar jab sur phuka jayega to RUHE apne-apne badan mai wapas aa jayege.
Log jinda hokar khade ho jayege.
Amaal naama pesh kiya jayega.
Nabiyon aur gawaho ko laya jayega aur hak-hak faishle kar diye jayege.
Kisi par zulm nahi hoga. Jisne jayesa kiya hai, us=se uska barpur badla
milega. Log duniya mai jo kuch kar rahe hai, sab kuch hamre RAB ko malom
hai.
SURE YASEEN MAI FARMAYA- ham jab (QAYAMT) ke din
logo ke muh par mohor laga dege (band kar dege, waha kuch bol na
sakega) unke hath-pyer baat karege aur gawahi dege ki hamne zamin par
yaha-yaha kaam kiya.
Is
ayet se pata chalta hai ki admi apne gunaha logo se chhupa sakta hai
lekin apne aapse nahi chhupa sakta. Yahi wazah hai ki uske badan ka
har-har ang uske khilaf QAYAMT mai
gawahi dega jo sab uske khilaf hogi. Agar inshan is ayet par gawr kare
to yakinan wah is dharti par koi guanah na kar sake.
Jab se us=se ehsas
ho jaye ki main hazar chhup-chhup kar, logo ki nazaro se bachkar, adhere
ghar mai, pahad ki chuti par, samandar ki tah mai , kahi bhi gunah
karke apna guanh logo ki nazaro se to chupa sakta ho lekin khud apnea
apse nahi chupa sakta. Mare badan ka ang-ang mere gunah ka gawahi hai.
To fir jindagi mai wah koi guanah na kare. Hamare badan ka ang-ang baal,
khal, haddi sab hamare amal ki gawahi degi.
Gunaho
ki nahusat se jo log jahannam mai dale jayege, unhe kichad ki tarah
khwlte hua garm-garm zakum khane ko deya jayega. Us-se FARISHTE
ghashitte hua JAHANNAM mai dalege. Uske sar par garm pani bahaya jayega
kaha jayege-chakho-chakho tum to duniya mai badi izzat wale thhe. Tumhe
jab QAYAMT aur JAHANNAM ke AZAB se daraya jata thha to yakin nahi karte
thhe. Lo aaj apni akho se dekho lo aur bhugto.
Aur udhar ZANNATIYON se kaha jayega-mere bando! Aaj tum par koi khawf nahi(JAB KI DUSRE LOG MARE DAR KE SAHEME HOGE KI JANE KYA HAAL HO)aur tumhe koi gaam bhi nahi hoga (KI HAMAI HAMARI NEKIYON KE HISABB SE FAL NAHI MILA) yah wahi khushnashib hai jo hamari ayeto par eman laye aur musalman (farmabardar) thha. Tum aur tumhari bibiyon hashi-khoshi ZANNATmai chale jaoge.
Maidane maheshar ka ek manzar SURE-ZUMUR MAI YO BAYAN HUA HAI-allah wa rasu ka inkar karne wale (kafir) log apni nafarmani ki wazaha se ZAHANNAM ki taraf hake jayege. Waha pahochte hi ZAHANNAM ke darwaze unke liye khol diye jayege (JISMAI AAG KE HAZARO TARAH KE AZAB HAI) paheredar FARISHTEunse
puchege-kya tumhare pass tumhar koi rasul nahi aya?
Kya unhone tumhe
allah ki ayete pad-pad kar nahi sunai? Kya unhone tumhe aaj ke is din se
daraya nahi thha? Wah sab kahege- haan, aapka kahena sahi hai (HAMARE
PASS RASUL AYE, UNHO NE ALLAH KA FARMAN SUNAYA, HAMAI AAG KE AZAB SE
DARAYA BHI LEKIN AFSHOSH, HAM NE UNKI EK BHI NA MANI) fir unke liye hokum hoga- jao fir hamaisha ZAHANNAM mai Jalo aur uske azab zhhelo. ZAHANNAM to bahut hi buri zagah hai.
Aur
monin bande jo apne RAB se darte thhe, zhhund ke zhhund ZANNAT ki taraf
bheje jayege. Jab waha pahuchege to unke liye ZANNAT ke darwaze khol
diye jayege. Wha maujud FARISHTE unhe salam karege aur Mubarak baad pesh
karege aur khushkhabri sonayege ki jao, ab tumhe hamisha us-si (ZANNAT)
mai hi rahena hai. Yaha son kar ZANNATI
allah
ka sukar ada karege aur kahege- allah ka sukar hai ki usne hamse apna
kiya wada pura farma diya ki jaha chahe rahe. Nek kaam karne walo ka
yahi badla hai.
Baharaal. QAYAMT ka
haal bahut hi bahyan aur dil hila dene wala hai. Us din adimi ka haal
uske amal ke mutabik hoga. Kuch log to apne haal se behaal hoge aur kuch
logo ko kisi tarah ka koi khawf nahi hoga. Nek amal karne walo ko allah
pak apne fazal se akhirat mai ZANNAT aata farmayega. Is-se pahele uski nekyon ka nek fal uski duniywi jindagi mai bhi aata farmayege.
Hamai
chaheye ki ham QAYAMAT ke khawfnak halat par gawr karke apni ISLAH kar,
nekiyon ki taraf badhe, gunaho se picha chhudeye aur bache taki AKHIRAT
mai logo ke samne sharmindagi se bache. Allah ayesi sudh-budh
de……….AMIN SUMM AMIN….